Pak Fun Chat
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

«­·´¯`·»¦« Jab bhi in honton ne is mai ko chuaa hai «­·´¯`·»¦«

Go down

«­·´¯`·»¦« Jab bhi in honton ne is mai ko chuaa hai «­·´¯`·»¦« Empty «­·´¯`·»¦« Jab bhi in honton ne is mai ko chuaa hai «­·´¯`·»¦«

Post  ÑiDØ_KiDØ Wed Dec 08, 2010 4:32 pm

Jab bhi in honton ne is mai ko chuaa hai
Pursakoon ho utha har ruaan ruaan hai!

Do jaam peelena koi chori to nahi hai,
Gham ko bhulalena kam-zori to nahi hai!
Maikashi se bhulalete hain zindgee k har gham
K abhi tak to beasr hui har dil ki dua hai!

Jab bhi in honton ne is mai ko chuaa hai,
Pursakoon ho utha har ruaan ruaan hai!

Guzaar di humne umr bas ghamon ko kaat-tay
Dukhon ko uthaatay khsuhiyon ko baat-tay!
Tab anjaan thee dunya ab aayee hai poochne
Maikashi kerte ho ab aisa-kya-hua hai?

Jab bhi in honton ne is mai ko chuaa hai
Pursakoon ho utha har ruaan ruaan hai!

Is oar khaai hai to us oar kuaan hai,
Bazuu bhi dikhayee na dein kuch aisa dhuaan hai!
Do ghont peekay hataa lete hain nazron ka hum kohra,
Nazar aajata hai phir humko hamara daar kahaan hai!

Jab bhi in honton ne is mai ko chuaa hai
Pursakoon ho utha har ruaan ruaan hai
ÑiDØ_KiDØ
ÑiDØ_KiDØ

Posts : 366
Join date : 2009-05-21
Age : 36
Location : »¦« Abu Dhabi »¦«

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum