Pak Fun Chat
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

«­·´¯`·»¦« Wo Hazaar Aankh Se Door Ho, Wo Hazaar Parda-nashee(n) Sahi «­·´¯`·»¦«

Go down

«­·´¯`·»¦« Wo Hazaar Aankh Se Door Ho, Wo Hazaar Parda-nashee(n) Sahi «­·´¯`·»¦« Empty «­·´¯`·»¦« Wo Hazaar Aankh Se Door Ho, Wo Hazaar Parda-nashee(n) Sahi «­·´¯`·»¦«

Post  ÑiDØ_KiDØ Fri Dec 03, 2010 8:31 pm

Meri zindagi to firaaq hai, wo azal se dil mein makee(n) sahi
Wo nigaah-e-shauq se door hain, rag-e-jaa(n) se laakh qaree(n) sahi

Hamein jaan deni hai ek din, wo kisi tarha, wo kahee(n) sahi
Hamein aap kheinchiye daar par, jo nahi koi to hamee(n) sahi

Sar - e - toor ho , sar - e - hashr ho , hamein intezaar qubool hai
Wo kabhi milein, wo kaheen milein, wo kabhi sahi, wo kahee(n) sahi

Na ho , un pe jo mera bas nahi k ye aashiqi hai hawas nahi
Main unhi ka tha, main unhi ka hoon, wo mere nahi to nahee(n) sahi

Jo ho faisla wo sunaaiye , ise hashr par na uthaaiye
Jo karein ge aap sitam wahaan, wo abhi sahi, wo yahee(n) sahi

Usey dekhne ki jo lau lagi to Naseer dekh hi lein ge ham
Wo hazaar aankh se door ho, wo hazaar parda-nashee(n) sahi
ÑiDØ_KiDØ
ÑiDØ_KiDØ

Posts : 366
Join date : 2009-05-21
Age : 36
Location : »¦« Abu Dhabi »¦«

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum