Pak Fun Chat
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

«­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦«

Go down

«­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦« Empty «­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦«

Post  ÑiDØ_KiDØ Fri Dec 03, 2010 3:50 am


Kareeb Mout Khari Hai Zara Theher Jao..
QaZa Se Aankh Lari Hai Zara Theher Jao..

Thaki Thaki si FiZaYen BuJhe buJhe Tare..
Bari Udaas Ghari Hai Zara Theher Jao..

Naheen Umeed Ke Ham Aaj Ki Seher DeKhen..
Yeh Raat Ham Per Kari Hai Zara Theher Jao..

Abhi Na Jao Ke Taron Ka Dil Dharakta Hai...
Tamam Raat Pari Hai Zara Theher Jao..

Phir Iss ke Baad Kabhi Hum Tum Ko Na Roken Ge...
Labon Pe Saans Ari Hai Zara Theher Jao..

Dam-e-Firaq Main Ji Bhar Ke Tum Ko Dekh To Lon...
Yeh Faisle Ki Ghari Hai Zara Thehr Jao.
ÑiDØ_KiDØ
ÑiDØ_KiDØ

Posts : 366
Join date : 2009-05-21
Age : 36
Location : »¦« Abu Dhabi »¦«

Back to top Go down

«­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦« Empty Re: «­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦«

Post  ÑiDØ_KiDØ Fri Dec 03, 2010 3:51 am

yeh dil yeh pagal dil mera kyon bujh gaya aavaaragii
is dasht mein ik shaher tha vo kyaa hua aavaaragii

kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai us ne kaha aavaaragii

ik tu ki sadiyon se mere humrah bhi humraaz bhi
ik main ki tere naam se naa-aashnaa aavaaragi

ye dard ki tanhaaiyaan ye dasht ka viraan safar
hum log to uktaa gaye apni suna aavaaragii

ik ajnabi jhonke ne jab puchha mere gham ka sabab
sahara ki bheegi ret par main ne likha aavaaragii

le ab tou dasht-e-shab ki saari vo0osaten sone lagin
ab jagnaa hoga humen kab tak bata aavaaragii

kal raat tanha chaand ko dekha tha main ne khwaab mein
'Mohsin' mujhe raas aayegi shaayad sada aavaaragii
ÑiDØ_KiDØ
ÑiDØ_KiDØ

Posts : 366
Join date : 2009-05-21
Age : 36
Location : »¦« Abu Dhabi »¦«

Back to top Go down

«­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦« Empty Re: «­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦«

Post  ÑiDØ_KiDØ Fri Dec 03, 2010 3:51 am

Ek pasheyman si hasrat say mujhe sochta hai
Ab wahi sheher-e-mohabbat say mujhe sochta hai

May to mehdood say lamhon may mili thi us say
Phir bhi woh kitni wazahat say mujhe sochta hai

Jis nay socha hi na tha hijr ka mumkin hona
Dukh may doobi hui hairat say mujhe sochta hai

May to mar jaoon agar sochnay lag jaoon usay
Aur woh kitni sahoolat say mujhe sochta hai

Garcha ab tark-e-marasim ko bohat dair hui
Ab bhi woh meri ijazat say mujhe sochta hai

Kitna Khush-fehem hai woh shaks kay har mausam main
Ek naye rukh nayee soorat say mujhe sochta hai
ÑiDØ_KiDØ
ÑiDØ_KiDØ

Posts : 366
Join date : 2009-05-21
Age : 36
Location : »¦« Abu Dhabi »¦«

Back to top Go down

«­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦« Empty Re: «­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦«

Post  ÑiDØ_KiDØ Fri Dec 03, 2010 3:51 am

Zra si dair mein hum kaisay kholtay is ko
Tamam umr lagi jhoot boltay is ko

Jisay kasheed kiya tha khumar- e- khushboo say
misaal-e-rang hawaoon mein gholtay is ko

Woh khawab mein he utartta shua-e-subha kay saath
humm apnay aap he pulkon pay toultay is ko

Woh ashk tha usay aankhon mein dafan hona tha
guhur na tha kay sitaroun mein roltay is ko

Woh bewafa tha tou iqraar..... laazmi kerta
kuch aur dair meri jaan tatoultay iss ko

Kisi ki aankh say M o h s i n zaroor peetaa hai
tamam shehr nay dekha hai doultay iss ko
ÑiDØ_KiDØ
ÑiDØ_KiDØ

Posts : 366
Join date : 2009-05-21
Age : 36
Location : »¦« Abu Dhabi »¦«

Back to top Go down

«­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦« Empty Re: «­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦«

Post  ÑiDØ_KiDØ Fri Dec 03, 2010 3:51 am

WOH chahta tha phir bhi koi Guftago na ki
Main nay bhi poochnay ki Justojoo na ki

Tasveer teri dekh kar Ankheein Chaalkh parein
Hum nay teri Ibadaat kabhi bay-Wuzu na ki

Baithay rahay chup chap Hum pardah nasheen k paas
MUSA ki tarahan dekhnay ki Arzoo na ki

WOH hay Nasha-e-ISHQ ki lazat say Bay Khabar
Jis nay ye Zindagi kabhi Nazar-e-Sobo na ki

Karta raha biyaan WOH Geeroon kay Samanay
OS nay kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo na ki

DIL mein chuppaye rakhay hain Hum nay Raaz-e-ISHQ
Ahel-e-Janoon ki baat kabhi Koo-ba-Koo na ki

Milta nahi hay US ko Shahadat ka Martaba
Rah-e-KHUDA mein jis nay ye Gardan Lahoo na ki
ÑiDØ_KiDØ
ÑiDØ_KiDØ

Posts : 366
Join date : 2009-05-21
Age : 36
Location : »¦« Abu Dhabi »¦«

Back to top Go down

«­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦« Empty Re: «­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦«

Post  ÑiDØ_KiDØ Fri Dec 03, 2010 3:52 am

Ab koi aye tau kehna k musafir tau gya
Yeh bhi kehna k bhala ab bhi na jata logo

Rah tuktai hoey pathra si gaye thi ankhain
Ahh bertey hoey chalni hoa seena yarro

Hont jaltey thai jo liata tha kabhi app ka naam
Is tarah aur kisi ko na satana logo

Koi khabar uss ki hamain ho tau tumhey batlain
Kaun nagar,kaun gali,kaun muhala logo

Chand lafzoon ka muamma ta woh uljah sulja
uss nai tau naam bhi poora na bataya logo
ÑiDØ_KiDØ
ÑiDØ_KiDØ

Posts : 366
Join date : 2009-05-21
Age : 36
Location : »¦« Abu Dhabi »¦«

Back to top Go down

«­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦« Empty Re: «­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦«

Post  ÑiDØ_KiDØ Fri Dec 03, 2010 3:52 am

Thaher jao ke hairaani tou jaye
tumhari shakal pehchaani tou jaye

shab-e-ghum tu hi mehmaan ban ke aajaa
humare ghar ki viraani tou jaye

zara khul kar bhi ro lene do hum ko
ke dil ki aag tak paani ho jaaye

balaa se tod daalo aaiinon ko
kissi so0orat yeh hairaani tou jaaye
ÑiDØ_KiDØ
ÑiDØ_KiDØ

Posts : 366
Join date : 2009-05-21
Age : 36
Location : »¦« Abu Dhabi »¦«

Back to top Go down

«­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦« Empty Re: «­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦«

Post  ÑiDØ_KiDØ Fri Dec 03, 2010 3:52 am

Tumhey jab kabhi milay fursatain meray dil say bhogh utar do
Mein bohat dinoo say udaas hoon mujhay aik shaam udhar do

Mujhay apnay rang may rang do meray saray zang utar do
Mujhay apnay rang ki dhoop do kay chamak sakain meray khadokhal

Kisi ur ko meray haal say garz hay na wasta
Me bikhar gaee hoon samate lo may bigger gaee hoon sanwar do

Tum ko kasi lagi sham maree khawahishon kay dedar ki
Jo bhali lage tu in ko chahat say nikhar do

Wahan ghar may kon hay muntazer kay fikar ho dair sawar ki
Bari muhtasir si ya raat hay isay chandni may guzar do

Koi baat karti hay kise shaksar ki orh may
Mughay rastay may yahin gul_o_jang may utar do
ÑiDØ_KiDØ
ÑiDØ_KiDØ

Posts : 366
Join date : 2009-05-21
Age : 36
Location : »¦« Abu Dhabi »¦«

Back to top Go down

«­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦« Empty Re: «­·´¯`·»¦« Ghazalz Collection «­·´¯`·»¦«

Post  Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum